Monday, August 3, 2009

Jokes

There was just one cinema Theatre in the Village. The village people, though
backward were very patriotic. In fact as a Cinema screen the owner of the
theatre had installed a khaadi dhoti. The villagers were very happy with
the idea of a Khaadi Dhoti screen. They decided to dedicate the theatre to
Mahatma Gandhiji, and Named the theatre: GANDHI KEE DHOTI
Some of the Up coming attractions at GANDHI KEE DHOTI as advertised in the
Local Newspaper were:
Gandhi kee Dhoti mein KACHHE DHAGE
Gandhi kee Dhoti mein HAL-CHAL
Gandhi kee Dhoti mein Daraar
Gandhi kee Dhoti mein Chuppa Rustom
Gandhi kee Dhoti mein Baazigar
Gandhi kee Dhoti mein Do Jasoos
Gandhi kee Dhoti mein Aandhi
Gandhi kee Dhoti mein Garam Hawaa
Gandhi kee Dhoti mein Hero No. 1
Gandhi kee Dhoti mein Sabse Bada Khilaadi
Gandhi kee Dhoti mein Kuch Kuch hota hai
Gandhi kee dohti mein Raju Ban Gaya Gentlemen
Gandhi kee dohti mein Josh
Gandhi kee dohti mein Joru ka Ghulam
Gandhi kee dohti mein Mere Do Anmol Ratan
Gandhi kee dohti mein Judwaa
Gandhi kee dohti mein Refugee
Gandhi kee dohti mein Tera Jadoo Chal Gaaya
Gandhi kee dohti mein Jungle
Gandhi kee dohti mein Hera Pheri
Gandhi kee dohti mein Ajnabee
Gandhi kee dohti mein Pyaasa

Dilli Ki Kahani

Ek din, mein dilli pahuncha, Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha, Coolie ne kaha bahar jaake poocho. Maine khud hi rasta doondh liya, Bahar jaake taxiwale se pooncha, "bhai saab Aagre ka kitna loge?" Jawab mila, "bechna nahi hai.." Taxi chhod, maine bus pakad li, conductor se pooncha, "ji.. kya mein cigarette pi sakta hoon?" Wo gurrra kar bola, "hargiz nahi, yaha cigarette pina mana hai" Maine kaha, "par wo janab to pi rahe hai!"
Phir se gurrrraya, "usne mujhse pooncha nahi hai" Aagre pahucha, hotel gaya. Manager se kaha, "mujhe room chahiye, satve manzil pe" Manager ne kaha, "rahane ke liye ya koodne ke liye?" Room pahucha, waiter se kaha, "ek paani ka gilas milega."
Usne jawab diya, "nahi sahab, yaha to saare kanch ke milte hai." Hotel se nikla dost ke ghar jaane ke liye, Raste me ek sahab se pooncha, "janab, ye sadak kaha ko jaati hai?" Janab hans kar bole, "peechle bees saal se dekh rahan hoon, yahi padi hai...."
Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk pada Usne poocha, "dilli kaise aana hua?" Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi, to maine bhi jawab diya,"Train se.." Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se kaha,"areeee sunti ho... mera dost pehli baar ghar aaya hai, uuse kuch taja taja khilao.." Sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari khidkiya aur darwaje khol diye. Kaha, "taji hawa kha lijiye." Dost ne phir se badi pyar se biwi se kaha, "areeee sunti ho...inhe jara apna chalis saal purana aachar to dikhana." Bhabiji ek batli me rakha aachar le aayi, Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha, "bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi nahi....?" Bhabiji ne taak jawab diya, "yuhi agar sab ko chakhati to aachar chalis saal purana kaise hota..?" Thodi der baad dekha, bhabiji apne pote ko soola rahi thi, Saath me lori bhi ga rahi thi, "diploma so ja, diploma so ja." Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha, "yaar ye diploma kya hai?" Dost ne jawab diya, "mere pote ka naam, Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye aur saath mein ise le aayi, isiliye hamne iska naam diploma rakh diya." Phir maine pooncha, "aajkal tumhari beti kya kar rahi hai?" Dost ne jawab diya, "bambai gayi hai, degree lene ke liye...."

No comments:

Post a Comment